Sunday, February 3, 2013

Kis Se Izhar E Mudda Kijiye (Jaun Elia)

Kis se izhaar e muddaa kijiye
aap milte nahin hain, kiya kijiye
aap the jis k  chaaragar, woh jahan
sakht bimaar hai, dua kijiye
mujh ko aadat hai rooth janay ki
aap mujh ko manaa liya kijiye
milte rahiye issi tapaak k saath
bewafaai ki inteha kijiye
ek hi fun to hum ney seekha hai
jis sey miliye, usay khafa kijiye




13 comments:

  1. main ne Jaun shahib ke ye ghazal phelay nahe parhi thee, ye ghazal main nay app ke blog per abhi parhi hai, post kernay ke shukrya.

    Main ne ek ghzal kuch salon phelay likhe thee, paish-e-khidmat hai,

    ja chupa chand perday main kya kije
    tulu-e-seher ki hi ab tou dua kije

    hogya khusk aankh ka derya, tishna!
    nachor ke daman hi ab tou pya kije

    bakhstay ghair ko hain alfaaz ke moti akser
    kalaam mujh se bhi lillah kuch kya kije

    unhaiN naseeb saya-e-qafas, pairoN main khanaktay ghungru
    azaad bandoN pe bhi apnay daya kije

    mujhko lagta hai ye waqt mujhe dusta hai
    her sa’at pe nikle hai dum, dawa kije

    rahay aap se qayam ye yakterfa rishtaa
    jo doobay nabz tou roshan nae shama kije.

    _________hajr

    ReplyDelete
  2. first second and third sher are awesome.

    ReplyDelete
  3. Sahyed ye share bhi is ghazal ka hai

    Khidkiyañ be sabab nahi hoti
    Taakte jhaankte raha kijiye

    ReplyDelete
  4. Kis Se Izhar e Mudda Kijiye
    Ap Milte Nahi Hain Kya Kijiye

    Ho Na Paya Ye Faisla Ab Tak
    Ap Kya Kijiye To Kya Kijiye

    Ap The Jis Ke Chara Gar Wo Jawaan
    Sakht Bemar Hai Dua Kijiye

    Ek Hi Fun To Hum Ne Seekha Hai
    Jis Se Miliye Usey Khafa Kijiye

    Hai Taqaza Mri Tabyat Ka
    Har Kisi Ko Charagh Pa Kijiye

    Rang Har Rang Mein Hai Daad Talab
    Khoon Thukoon To Wah Wah Kijiye

    Hai To Baare Ye Alam e Asbab
    Be Sabab Cheekhne Laga Kijiye

    Aaj Hum Kya Gila Karen Is Se?
    Gila e Tangi e Quba Kijiye

    Zindagi Ka Ajab Muamla Hai
    Ek Lamhe Mein Faisla Kijiye

    Mujh Ko Adat Hai Rooth Jane Ki
    Ap Mujh Ko Mana Lya Kijiye

    Milte Rahiye Isi Tapak Ke Saath
    Bewafai Ki Inteha Kijiye…

    ReplyDelete
  5. You missed some of great couplets.

    Nutq haivaan par garaan hai abhi...
    Guftgu kam se kam kiya kijiye...

    Hazrat e zulf e ghaaliyah afshaan..
    Naam apna saba saba kijiye..

    Kohkan ko hai khud kashi Khwahish...
    Shah bano se ilteja kijiye...

    Mujhse kehti thein wo sharab aankhein...
    Aap woh zeher mat piya kijiye...

    ReplyDelete
  6. Indeed, Urdu poetry is has an amazing attraction to its reader thank you so much for such a nice Urdu shayari. Poetry is the way of expressing your feelings and emotions that's why people so often choose Jaun Elia Poetry to show their emotions for others.

    ReplyDelete
  7. Nazar aaye wo is tarah
    Ki ab dekhne ki fursat nhi

    ReplyDelete
  8. Jaun Elia saab ek matra aise shayar hai mere hisaab se... jinki shayari padi nahi jaati... mahsus ki jaati hai

    ReplyDelete