Wednesday, December 4, 2013

Ajab Ek Shor Sa Barpa Hai Kahin

Ajab Ek Shor Sa Barpa Hai Kahin..
Koi Khamosh Ho Gaya Hai Kahin
Hai Kuch Aesa Kay Jaisay Yeh Sab Kuch
AB Sey Pehlay Bhi Ho Chuka Hai Kahin
Jo Yahan Sey Kahin Naa Jaata Tha
Woh Yahan Sey Chala Gaya Hai Kahin
Tujh Ko Kiya Ho Gaya Kay Cheezon Ko
Kahin Rakhta Hai Dhondhta Hai Kahin
Tu Mujhay Dhoondh, Main Tujhay Dhondhoon
Koi Hum Mein Sey Reh Gaya Hai Kahin
Is Kamray Sey Ho Kay Koi Wida
Is Kamray Mein Chup Gaya Hai Kahin

Meri Masoom Ferozi

Meri Masoom Ferozi, Meri Mabooda E Jaan...
Mil Gaya Hai Mujhe Maktoob E Muhabbat Ka Jawaab
Uss Kay Andaaz E Nigaarish Sey Pareshaan Hoon Main
Wehshat Afza Hai Meray Wastay Asloob E Khitaab
Dekhna They Mujhe Sharmaye Huwey Kuch Jumley
Yeh Ahadees O Riwayaat Nahin Sun'na Theen
Dekhna Tha Mujhe Ek Jazba E Kaamil Tum Mein
Mujhko Quraan Ki Ayaat Nahin Sun'na Theen
Tum Nay Likha Hai K Tum Bhai Samjhti Ho Mujhe
Aab E Zam Zam Sey Kero Pur Na Jawaani Ka Ayaagh
Tum Ney Likha Hai K Pakeeza Muhabbat Hai Mujhe
Shamma E Kaaba Se Jalao Na Meri Shab Ka Chiraagh
Tum Ager Bhai Samajhti Ho To Yeh Bhi Likhoo
Bhai Kay Khat Bhi Chup Chup Kay Parha Kartay Hain?
Tum Agar Bhai Samjhti Ho To Yeh Bhi Batlaao..
Bhai Ka Naam Bhi Sharmaa Kay Liya Kartay Hain?
Main Nay Samjha Tha MayNaab E Takhayyul Tum Ko
Ab Yeh Taqdees E Takhhayyul To Barri Mushkil Hai..
Aao Main Tumko Batlaaon Kay Muhabbat Kiya Hai..
Hasrat E Larzish E Bay Jaa Ka Mukammal Ehsaas
Mard O Aurat Mein Meri Hoor Teray Sir Ki Kasam
Rishta E Aadam O Hawwa Kay Siwa Kuch Bhi Nahin...