Monday, February 4, 2013

Chand Asha'ar (Hazrat Jaun Elia)


yun to apne qasidaan e dil k paas
janay kis kis k liye pegham hain
jo likhey jatay rahay auron k naam
meray woh khat bhi tumhare naam hain


yeh tere khat, teri khushbu, ye tere khawab o khayal
mata e jaan hain tere qaul aur qasam ki tarah
guzashta saal inhain maine gin k rakha tha
kisi gharib ki jori huwi raqam ki tarah


kitney zalim hain, jo ye kehtey hain
tour lo phool, koi choray matt
baaghbaan hum to is khayal k hain
dekh lo phool, phool touro matt


hai muhabbat hayat ki lazzat
warna kuch lazzat e hayat nahin
kya ijaazat hai, ik baat kahoon
woh, magar khair, koi baat nahin


kisi libas ki khushbu jab urr k aati hai
tere badan ki judai bohot satati hai
tere ghulab tarastey hain teri khushbu ko
teri safaid chambeli tujhe bulati hai
tere baghair mujhe chain kaisay parta hai
mere baghair tujhe neend kaisay aati hai



Sunday, February 3, 2013

Kis Se Izhar E Mudda Kijiye (Jaun Elia)

Kis se izhaar e muddaa kijiye
aap milte nahin hain, kiya kijiye
aap the jis k  chaaragar, woh jahan
sakht bimaar hai, dua kijiye
mujh ko aadat hai rooth janay ki
aap mujh ko manaa liya kijiye
milte rahiye issi tapaak k saath
bewafaai ki inteha kijiye
ek hi fun to hum ney seekha hai
jis sey miliye, usay khafa kijiye




Fariha Nigarina (very popular nazam)

Fariha Nigarina
tum ney mujh ko likha hai
Mere khat jala dijiye
Mujh ko fikr rehti hai
aap inhain ganwa dijiye
Aap ka koi saathi dekh ley to kiya hoga?
dekhiye mein kehti hun Yeh bohat bura hoga
Mein bhi kuch kahun tum se
Fariha Nigarina
Ay Ba'nazuki meena
itr bey naseena
rashk'e sar be seena
Mein tumharay har khat ko LOH'E DIl samajhta hun
LOH'e Dil Jala dun kia?
Jo bhi satr hai in ki
Kehkasha' hai rishton ki
Kehkasha'n luta dun kia?
Hai sawaad'e beenai inka jo bhi nukta hai
Mein usay gunwa dun kia?
jo bhi harf hai inka
naqsh'e jaa'n hai jaanana
naqsh'e jaa'n mita dun kia??
LOh'e dil jala dun kia?
kahkasha'n luta dun kia?
Naqsh'e jaa'n mita dun kia??

Mujh ko likh k khat janum
apnay dehaan mein shayd
khuwaab khuwaab jazbon k
khuwaab khuwaab lamhon mein
younhi bey khayalana jurm kar gai ho tum
aur khayal aany par US Se dar gai ho tum
JURM k tassawur mein gar yeh KHAT likhay TUM NEY
phir to meri raaiy mein JURM hi kiye tum ney
jurm! kiun kiye jayein?
jurm! kiun kiye jayein?
khat hi kiun likhey jayein...!




Chand Asha'ar

kuch Asha'ar Hazrat Jaun Elia ki Shayiri mein sey...



koi taaluq he na rahay, jab k sabab bhi baaqi ho
kiya main ab bhi zinda hoon, kiya tum ab bhi baaqi ho



ajab tha uski dildaari ka andaaz
woh barsoon baad jab mujhse mila hai
bhala main poochta us sey to kaisay
mata-e-jaan tumhara naam kiya hai



halat e haal k sabab, halat e haal bhi gayi
shoq mein kuch nahin giya, shoq ki zindagi bhi gayi



Friday, February 1, 2013

Ek Gali Thi, Jis Se Hum Nikley



ek gali thi jab us sey hum nikley,
aisay nikley jaisay dum nikley
koocha e aarzoo jo tha us mein
zulm-e- jaana taraa k kham nikley
jo phire dar badar yahan
woh apne ghar se bohot e kam nikley
jin se dil ka muamla tha
yahan bohot kam e aisay gham nikley
aag dil sheher mein lagi jis din
sab se aakhir mein wahan se hum niley
"Jaun" ye jo wajood hai, ye wajood
kiya banay gi, agar adam nikley


(Hazrat Jaun Elia)



Qata'at (4 line poetry)

kuch qata'at paish e nazar hain Hazrat Jaun Elia ki Shayiri mein sey




Be-Dili Kiya Yunhi Din Guzar Jayeinge
Sirf Zinda Rahe Hum To Marr Jayeinge
Kitney Dilkash Ho Tum, Kitna Dil-Joo Hoon Main
Kiya Sitam Hai k Hum Log Marr Jayenge



Meri Aqal-0-Hosh Ki Sab Haalatein
Tum Ne Sanchay Me Ja-noo K Daal Dein
Ker Liya Tha Maine Ehd-e-Tark-e-Ishq
Tum ne Phir Banhein Galay Me Daal Dein



Sharam, Dehshat, Jhijhak, Pareshanii
Naaz Se Kaam Q Nahin Leiti
Aap, Woh, Ji, Magar,Ye Sab Kya Hai
Tum Mera Naam Q Nahin Leiti


(Hazrat Jaun Elia)