Monday, February 4, 2013

Chand Asha'ar (Hazrat Jaun Elia)


yun to apne qasidaan e dil k paas
janay kis kis k liye pegham hain
jo likhey jatay rahay auron k naam
meray woh khat bhi tumhare naam hain


yeh tere khat, teri khushbu, ye tere khawab o khayal
mata e jaan hain tere qaul aur qasam ki tarah
guzashta saal inhain maine gin k rakha tha
kisi gharib ki jori huwi raqam ki tarah


kitney zalim hain, jo ye kehtey hain
tour lo phool, koi choray matt
baaghbaan hum to is khayal k hain
dekh lo phool, phool touro matt


hai muhabbat hayat ki lazzat
warna kuch lazzat e hayat nahin
kya ijaazat hai, ik baat kahoon
woh, magar khair, koi baat nahin


kisi libas ki khushbu jab urr k aati hai
tere badan ki judai bohot satati hai
tere ghulab tarastey hain teri khushbu ko
teri safaid chambeli tujhe bulati hai
tere baghair mujhe chain kaisay parta hai
mere baghair tujhe neend kaisay aati hai



6 comments:

  1. kya ijaazat hai, ik baat kahoon
    woh, magar khair, koi baat nahin
    .
    .
    KEH BHI DO...
    AGAR BURA JO LAGE/GA...
    TO BHI BATAYENGE NAHI... :p

    ReplyDelete
  2. Indeed, Urdu poetry is has an amazing attraction to its reader thank you so much for such a nice Urdu shayari. Poetry is the way of expressing your feelings and emotions that's why people so often choose Jaun Elia Poetry to show their emotions for others.

    ReplyDelete
  3. Apni khowab o kheyal duniya ko kon barbad kar gaya janam

    ReplyDelete
  4. aadat hī banā lī hai tum ne to 'munīr' apnī

    jis shahr meñ bhī rahnā uktā.e hue rahnā

    ReplyDelete
    Replies
    1. تیری تصویر سے مانوس ہیں آنکھیں میری
      میں کسی اور کو دیکھوں بھی تو دیکھوں کیسے

      Delete