Showing posts with label shayiri. Show all posts
Showing posts with label shayiri. Show all posts

Thursday, August 7, 2014

Kaun Sood O Ziyaan Ki Dunia Mein

Kaun Sood O Ziyaan Ki Dunia Mein

Dard E Ghurbat Ka Saath Deita Hai
Jab Muqabil Hoon Ishq Aur Daulat
Husan Daulat Ka Saath Daita Hai
Hai Faslein Utha Raha Mujh Mein
Janay Yeh Kaun Aa Raha Hai Mujh Mein
Jaun Mujhko Jala Watan Kar Key
Woh Mere Bin Bhala Raha Mujh Mein
Mujh Sey Us Sey Rehi Talaash-E-Umeed
Sau Bohot Din Chupa Raha Mujh Mein
Tha Qeemat, Sakoot Ka Ashoub
Hasher Sa Ik Bapa Raha Mujh Mein
Pas Perdah Koi Na Tha Phir Bhi
Ek Pardah Khincha Raha Mujh Mein
Mujh Mein Aa K Gira Tha Ik Zakhmi
Janey Kab Tak Parra Raha Mujh Mein



Monday, February 4, 2013

Chand Asha'ar (Hazrat Jaun Elia)


yun to apne qasidaan e dil k paas
janay kis kis k liye pegham hain
jo likhey jatay rahay auron k naam
meray woh khat bhi tumhare naam hain


yeh tere khat, teri khushbu, ye tere khawab o khayal
mata e jaan hain tere qaul aur qasam ki tarah
guzashta saal inhain maine gin k rakha tha
kisi gharib ki jori huwi raqam ki tarah


kitney zalim hain, jo ye kehtey hain
tour lo phool, koi choray matt
baaghbaan hum to is khayal k hain
dekh lo phool, phool touro matt


hai muhabbat hayat ki lazzat
warna kuch lazzat e hayat nahin
kya ijaazat hai, ik baat kahoon
woh, magar khair, koi baat nahin


kisi libas ki khushbu jab urr k aati hai
tere badan ki judai bohot satati hai
tere ghulab tarastey hain teri khushbu ko
teri safaid chambeli tujhe bulati hai
tere baghair mujhe chain kaisay parta hai
mere baghair tujhe neend kaisay aati hai



Sunday, February 3, 2013

Fariha Nigarina (very popular nazam)

Fariha Nigarina
tum ney mujh ko likha hai
Mere khat jala dijiye
Mujh ko fikr rehti hai
aap inhain ganwa dijiye
Aap ka koi saathi dekh ley to kiya hoga?
dekhiye mein kehti hun Yeh bohat bura hoga
Mein bhi kuch kahun tum se
Fariha Nigarina
Ay Ba'nazuki meena
itr bey naseena
rashk'e sar be seena
Mein tumharay har khat ko LOH'E DIl samajhta hun
LOH'e Dil Jala dun kia?
Jo bhi satr hai in ki
Kehkasha' hai rishton ki
Kehkasha'n luta dun kia?
Hai sawaad'e beenai inka jo bhi nukta hai
Mein usay gunwa dun kia?
jo bhi harf hai inka
naqsh'e jaa'n hai jaanana
naqsh'e jaa'n mita dun kia??
LOh'e dil jala dun kia?
kahkasha'n luta dun kia?
Naqsh'e jaa'n mita dun kia??

Mujh ko likh k khat janum
apnay dehaan mein shayd
khuwaab khuwaab jazbon k
khuwaab khuwaab lamhon mein
younhi bey khayalana jurm kar gai ho tum
aur khayal aany par US Se dar gai ho tum
JURM k tassawur mein gar yeh KHAT likhay TUM NEY
phir to meri raaiy mein JURM hi kiye tum ney
jurm! kiun kiye jayein?
jurm! kiun kiye jayein?
khat hi kiun likhey jayein...!




Chand Asha'ar

kuch Asha'ar Hazrat Jaun Elia ki Shayiri mein sey...



koi taaluq he na rahay, jab k sabab bhi baaqi ho
kiya main ab bhi zinda hoon, kiya tum ab bhi baaqi ho



ajab tha uski dildaari ka andaaz
woh barsoon baad jab mujhse mila hai
bhala main poochta us sey to kaisay
mata-e-jaan tumhara naam kiya hai



halat e haal k sabab, halat e haal bhi gayi
shoq mein kuch nahin giya, shoq ki zindagi bhi gayi



Thursday, January 31, 2013

Ghazal (Jab Teri Jaan Hogayi Hogi)


Jab Teri Jaan Hogayi Hogi..
Woh Jaan Heraan Hogayi Hogi..
Shab Tha Meri Nigah Ka Bojh Us Per..
Woh To Halkaan Hogayi Hogi..
Us Ki Khatir Huwa Main Khuwar Bohot..
Woh Meri Aan Hogayi Hogi..
Ho K Dushwaar Zindagi Apni..
Kitni Asaan Hogayi Hogi..
Be Gilah Hoon Main, Ab Bohot Din Sey..
Woh Pareshaan Hogayi Hogi..
Ek Haweli Thi, Dil Mohalle Me..
Ab Woh Viraan Hogayi Hogi..
Us K Koochay Mein Aayi Thi "Sheereen"..
Uski Darbaan Hogayi Hogi..
Kamsini Me Bohot Shareer Thi Woh..
Ab To Shetaan Hogayi Hogi..



(Hazrat Jaun Elia)




My First Post :)

So Here is my first post on this blog.
This blog is all about the poetry of Hazrat Jaun Elia.
I will keep posting the best ever poetry by Hazrat Jaun Elia.

So keep visiting my blog if you are crazy about the poetry of this legendary poet. :)


Charasazon Ki Chara Sazi Se Dard Badnam To Nahin Hoga..
Han Dawa Do, Magar Ye Batla Do, Mujhe Araam To Nahin Hoga..

(Jaun Elia)