Showing posts with label jaun elia shayari. Show all posts
Showing posts with label jaun elia shayari. Show all posts

Saturday, August 16, 2014

Jee Hi Jee Mein

Jee Hi Jee Mein Woh Jal Rahi Hogi...
Chaandani Mein Tehal Rahi Hogi..

Chaand Ney Taan Lee Hai Chadar E Abar..
Ab Woh Kapray Badal Rahi Hogi..

Surkh Aur Sabaz Wadiyon Ki Taraf..
Woh Meray Saath Chal Rahi Hogi..

Charhatay Charhatay Kisi Pahaari Per..
Ab Woh Karvat Badal Rahi Hogi..

Pairh Ki Chaal Se Raggar Kha Ker..
Woh Tanni Se Phissal Rahi Hogi..

Ho Kay Khuwab E Aish Sey Bedaar..
Kitni Hi Dair Shall Rahi Hogi..


Friday, August 15, 2014

Khatra Hai

Aish E Umeed Hi Se Khatra Hai..
Dil Ko Ab Dil Dahi Se Khatra Hai..

Hai Kuch Aisa Kay Uski Jalwat Mein..
Hamein Apni Kami Se Khatra Hai..

Jis Ki Aghosh Ka Hoon Deewana..
Us Ki Aghosh Hi Sey Khatra Hai..

Yaad Ki Dhoop To Hai Rouz Ki Baat..
Han Mujhe Chandani Sey Khatra Hai..

Hai Ajab Kuch Muamla Dar-Paish..
Aqel Ko Aaga'ahi Sey Khatra Hai..

Sheher E Ghaddar Jaan Ley Kay Tujhe..
Aik Amroohi Sey Khatra Hai..

Main Kahoon Kis Tarhan Yeh Baat Us Sey..
Tujh Ko Janam Mujhi Sey Khatra Hai..

Aaj Bhi Aye Kanaar E Baan Mujhe
Teri Ik Sanwali Sey Khatra Hai..

In Laboun Ka Lahoo Na Pee Jaon..
Apni Tishna Labi Sey Khatra Hai..

Jaun! Hee To Hai Jaun Kay Darpay..
Meer Ko Meer Hi Sey Khatra Hai..

Ab Nahin Baat Koi Khatray Ki..
In Sabhi Ko Sabhi Sey Khatra Hai..


Thursday, August 7, 2014

Kaun Sood O Ziyaan Ki Dunia Mein

Kaun Sood O Ziyaan Ki Dunia Mein

Dard E Ghurbat Ka Saath Deita Hai
Jab Muqabil Hoon Ishq Aur Daulat
Husan Daulat Ka Saath Daita Hai
Hai Faslein Utha Raha Mujh Mein
Janay Yeh Kaun Aa Raha Hai Mujh Mein
Jaun Mujhko Jala Watan Kar Key
Woh Mere Bin Bhala Raha Mujh Mein
Mujh Sey Us Sey Rehi Talaash-E-Umeed
Sau Bohot Din Chupa Raha Mujh Mein
Tha Qeemat, Sakoot Ka Ashoub
Hasher Sa Ik Bapa Raha Mujh Mein
Pas Perdah Koi Na Tha Phir Bhi
Ek Pardah Khincha Raha Mujh Mein
Mujh Mein Aa K Gira Tha Ik Zakhmi
Janey Kab Tak Parra Raha Mujh Mein



Wednesday, December 4, 2013

Ajab Ek Shor Sa Barpa Hai Kahin

Ajab Ek Shor Sa Barpa Hai Kahin..
Koi Khamosh Ho Gaya Hai Kahin
Hai Kuch Aesa Kay Jaisay Yeh Sab Kuch
AB Sey Pehlay Bhi Ho Chuka Hai Kahin
Jo Yahan Sey Kahin Naa Jaata Tha
Woh Yahan Sey Chala Gaya Hai Kahin
Tujh Ko Kiya Ho Gaya Kay Cheezon Ko
Kahin Rakhta Hai Dhondhta Hai Kahin
Tu Mujhay Dhoondh, Main Tujhay Dhondhoon
Koi Hum Mein Sey Reh Gaya Hai Kahin
Is Kamray Sey Ho Kay Koi Wida
Is Kamray Mein Chup Gaya Hai Kahin

Meri Masoom Ferozi

Meri Masoom Ferozi, Meri Mabooda E Jaan...
Mil Gaya Hai Mujhe Maktoob E Muhabbat Ka Jawaab
Uss Kay Andaaz E Nigaarish Sey Pareshaan Hoon Main
Wehshat Afza Hai Meray Wastay Asloob E Khitaab
Dekhna They Mujhe Sharmaye Huwey Kuch Jumley
Yeh Ahadees O Riwayaat Nahin Sun'na Theen
Dekhna Tha Mujhe Ek Jazba E Kaamil Tum Mein
Mujhko Quraan Ki Ayaat Nahin Sun'na Theen
Tum Nay Likha Hai K Tum Bhai Samjhti Ho Mujhe
Aab E Zam Zam Sey Kero Pur Na Jawaani Ka Ayaagh
Tum Ney Likha Hai K Pakeeza Muhabbat Hai Mujhe
Shamma E Kaaba Se Jalao Na Meri Shab Ka Chiraagh
Tum Ager Bhai Samajhti Ho To Yeh Bhi Likhoo
Bhai Kay Khat Bhi Chup Chup Kay Parha Kartay Hain?
Tum Agar Bhai Samjhti Ho To Yeh Bhi Batlaao..
Bhai Ka Naam Bhi Sharmaa Kay Liya Kartay Hain?
Main Nay Samjha Tha MayNaab E Takhayyul Tum Ko
Ab Yeh Taqdees E Takhhayyul To Barri Mushkil Hai..
Aao Main Tumko Batlaaon Kay Muhabbat Kiya Hai..
Hasrat E Larzish E Bay Jaa Ka Mukammal Ehsaas
Mard O Aurat Mein Meri Hoor Teray Sir Ki Kasam
Rishta E Aadam O Hawwa Kay Siwa Kuch Bhi Nahin...