yun to apne qasidaan e dil k paas
janay kis kis k liye pegham hain
jo likhey jatay rahay auron k naam
meray woh khat bhi tumhare naam hain
yeh tere khat, teri khushbu, ye tere khawab o khayal
mata e jaan hain tere qaul aur qasam ki tarah
guzashta saal inhain maine gin k rakha tha
kisi gharib ki jori huwi raqam ki tarah
kitney zalim hain, jo ye kehtey hain
tour lo phool, koi choray matt
baaghbaan hum to is khayal k hain
dekh lo phool, phool touro matt
hai muhabbat hayat ki lazzat
warna kuch lazzat e hayat nahin
kya ijaazat hai, ik baat kahoon
woh, magar khair, koi baat nahin
kisi libas ki khushbu jab urr k aati hai
tere badan ki judai bohot satati hai
tere ghulab tarastey hain teri khushbu ko
teri safaid chambeli tujhe bulati hai
tere baghair mujhe chain kaisay parta hai
mere baghair tujhe neend kaisay aati hai