Kis se izhaar e muddaa kijiye
aap milte nahin hain, kiya kijiye
aap the jis k chaaragar, woh jahan
sakht bimaar hai, dua kijiye
mujh ko aadat hai rooth janay ki
aap mujh ko manaa liya kijiye
milte rahiye issi tapaak k saath
bewafaai ki inteha kijiye
ek hi fun to hum ney seekha hai
jis sey miliye, usay khafa kijiye
aap milte nahin hain, kiya kijiye
aap the jis k chaaragar, woh jahan
sakht bimaar hai, dua kijiye
mujh ko aadat hai rooth janay ki
aap mujh ko manaa liya kijiye
milte rahiye issi tapaak k saath
bewafaai ki inteha kijiye
ek hi fun to hum ney seekha hai
jis sey miliye, usay khafa kijiye
main ne Jaun shahib ke ye ghazal phelay nahe parhi thee, ye ghazal main nay app ke blog per abhi parhi hai, post kernay ke shukrya.
ReplyDeleteMain ne ek ghzal kuch salon phelay likhe thee, paish-e-khidmat hai,
ja chupa chand perday main kya kije
tulu-e-seher ki hi ab tou dua kije
hogya khusk aankh ka derya, tishna!
nachor ke daman hi ab tou pya kije
bakhstay ghair ko hain alfaaz ke moti akser
kalaam mujh se bhi lillah kuch kya kije
unhaiN naseeb saya-e-qafas, pairoN main khanaktay ghungru
azaad bandoN pe bhi apnay daya kije
mujhko lagta hai ye waqt mujhe dusta hai
her sa’at pe nikle hai dum, dawa kije
rahay aap se qayam ye yakterfa rishtaa
jo doobay nabz tou roshan nae shama kije.
_________hajr
AALA.
Deletefirst second and third sher are awesome.
ReplyDeleteSahyed ye share bhi is ghazal ka hai
ReplyDeleteKhidkiyañ be sabab nahi hoti
Taakte jhaankte raha kijiye
Maaf kijiye par Nahin
DeleteKis Se Izhar e Mudda Kijiye
ReplyDeleteAp Milte Nahi Hain Kya Kijiye
Ho Na Paya Ye Faisla Ab Tak
Ap Kya Kijiye To Kya Kijiye
Ap The Jis Ke Chara Gar Wo Jawaan
Sakht Bemar Hai Dua Kijiye
Ek Hi Fun To Hum Ne Seekha Hai
Jis Se Miliye Usey Khafa Kijiye
Hai Taqaza Mri Tabyat Ka
Har Kisi Ko Charagh Pa Kijiye
Rang Har Rang Mein Hai Daad Talab
Khoon Thukoon To Wah Wah Kijiye
Hai To Baare Ye Alam e Asbab
Be Sabab Cheekhne Laga Kijiye
Aaj Hum Kya Gila Karen Is Se?
Gila e Tangi e Quba Kijiye
Zindagi Ka Ajab Muamla Hai
Ek Lamhe Mein Faisla Kijiye
Mujh Ko Adat Hai Rooth Jane Ki
Ap Mujh Ko Mana Lya Kijiye
Milte Rahiye Isi Tapak Ke Saath
Bewafai Ki Inteha Kijiye…
best yr.
Deleteاعليٰ
Deletemujh se kahti thiin vo sharb ankhen
Deleteaap vo zahar mat piya kiije
You missed some of great couplets.
ReplyDeleteNutq haivaan par garaan hai abhi...
Guftgu kam se kam kiya kijiye...
Hazrat e zulf e ghaaliyah afshaan..
Naam apna saba saba kijiye..
Kohkan ko hai khud kashi Khwahish...
Shah bano se ilteja kijiye...
Mujhse kehti thein wo sharab aankhein...
Aap woh zeher mat piya kijiye...
Indeed, Urdu poetry is has an amazing attraction to its reader thank you so much for such a nice Urdu shayari. Poetry is the way of expressing your feelings and emotions that's why people so often choose Jaun Elia Poetry to show their emotions for others.
ReplyDeleteNazar aaye wo is tarah
ReplyDeleteKi ab dekhne ki fursat nhi
Jaun Elia saab ek matra aise shayar hai mere hisaab se... jinki shayari padi nahi jaati... mahsus ki jaati hai
ReplyDelete