Thursday, January 31, 2013

Ghazal (Koi Haalat Nahin, Ye Haalat Hai)


Koi Haalat Nahin Hai, Ye Haalat Hai..
Yeh To Asoob Naak Zaroorat Hai..
Anjuman Main Ye Meri Khamoshi..
Burdbari Nahin Hai, Wehshat Hai..
Tanz Pairaiye Tabassum Me...
Takhalus Ki Kiya Zaroorat Hai..
Garam joshi Is Qadar K Kiya Baat..
Kiya tumhein Mujhse koi Shikayat Hai..
Ab Tum Nikal Ao Apnay Andar Sey..
Ghar Mein Kuch Samaan Ki Zaroorat Hai..
Hum Ne Jana, To Hum Ne Ye Jana..
Jo Nahin Hai Woh Khoobsurat Hai..
Khuwahishen Dil Ka Saath Chor Gayeen..
ye Azziyat Bhi Bari Azziyat Hai..
Log Masroof Jantay Hain Mujhe..
Yahan Mera Gham E Meri Fursat Hai..
Aaj Ka Din Bhi Aish Se Guzra..
Sar Se Pair Tak Salamat Hai..

(Hazrat Jaun Elia)




14 comments:

  1. Very nice ghazal poetry.
    I am sharing some of my favorite ghazal poetry here.

    Qurbaton mein bhee judai key zamanay mangay
    Dil woh be-mehar ke ronay key bahanay mangay

    Hum na hotay tu kisi aur key charchay hotay
    Khulqat-e-shaher tu kehnay ko fasanay mangay

    Yahi dil tha ke tarasta tha marasim key liay
    Abb yahi tarkey-taaluq key bahanay mangay

    Apna yah haal keh ji haar chukay lut bhi chukay
    Aur mohubaat wohee andaaz puranay mangay

    Dil kisi haal pah qane`h hi nahin jaan-e-FARAZ
    Mil gaay tum bhee tu kaya aur na janay mangay

    ReplyDelete
  2. Replies
    1. Some verses are wrongly quoted
      For example:
      Zarorat nahi ot is SORAT
      TAKHALUS NAHI takallof hay etc

      Delete
  3. https://m.soundcloud.com/bawa-sushil/dil-ke-darya-mein-utar-kay-dekho

    ReplyDelete
  4. https://m.soundcloud.com/bawa-sushil/dil-ke-darya-mein-utar-kay-dekho

    ReplyDelete
  5. Everybody needs the accomplice for forlorn circumstances or need to be main focus in any occasion or gathering with the pretty woman. Hence escort benefits in Dehradun are exceptionally valued.
    Read More:- Dehradun Escort Service

    ReplyDelete
  6. हमने जाना तो हमने ये जाना
    जो नही है वो खूबसूरत है

    ReplyDelete
  7. Ghazal mein khuch galtiyan hain

    ReplyDelete
    Replies
    1. What is meaning of sher "tanz pairaiye tabssum me iss takalluf ki kya zaryrat hai"

      Delete
  8. What is meaning of sher "tanz pairaiye tabssum me iss takalluf ki kya zaryrat hai"

    ReplyDelete
    Replies
    1. Agar Tanziya andaaz mai hee hansi aur muskurahat dekhaani hai to is takalluf ki akhir zaruraat hee kiya hai...(asaan alfaaz mai)

      Delete