Saturday, August 16, 2014

Jee Hi Jee Mein

Jee Hi Jee Mein Woh Jal Rahi Hogi...
Chaandani Mein Tehal Rahi Hogi..

Chaand Ney Taan Lee Hai Chadar E Abar..
Ab Woh Kapray Badal Rahi Hogi..

Surkh Aur Sabaz Wadiyon Ki Taraf..
Woh Meray Saath Chal Rahi Hogi..

Charhatay Charhatay Kisi Pahaari Per..
Ab Woh Karvat Badal Rahi Hogi..

Pairh Ki Chaal Se Raggar Kha Ker..
Woh Tanni Se Phissal Rahi Hogi..

Ho Kay Khuwab E Aish Sey Bedaar..
Kitni Hi Dair Shall Rahi Hogi..


Friday, August 15, 2014

Khatra Hai

Aish E Umeed Hi Se Khatra Hai..
Dil Ko Ab Dil Dahi Se Khatra Hai..

Hai Kuch Aisa Kay Uski Jalwat Mein..
Hamein Apni Kami Se Khatra Hai..

Jis Ki Aghosh Ka Hoon Deewana..
Us Ki Aghosh Hi Sey Khatra Hai..

Yaad Ki Dhoop To Hai Rouz Ki Baat..
Han Mujhe Chandani Sey Khatra Hai..

Hai Ajab Kuch Muamla Dar-Paish..
Aqel Ko Aaga'ahi Sey Khatra Hai..

Sheher E Ghaddar Jaan Ley Kay Tujhe..
Aik Amroohi Sey Khatra Hai..

Main Kahoon Kis Tarhan Yeh Baat Us Sey..
Tujh Ko Janam Mujhi Sey Khatra Hai..

Aaj Bhi Aye Kanaar E Baan Mujhe
Teri Ik Sanwali Sey Khatra Hai..

In Laboun Ka Lahoo Na Pee Jaon..
Apni Tishna Labi Sey Khatra Hai..

Jaun! Hee To Hai Jaun Kay Darpay..
Meer Ko Meer Hi Sey Khatra Hai..

Ab Nahin Baat Koi Khatray Ki..
In Sabhi Ko Sabhi Sey Khatra Hai..


Thursday, August 7, 2014

Yaaron Naga Yaar Ko,Yaaron Sey Gila Hai

Yaaron Naga Yaar Ko,Yaaron Sey Gila Hai..
Khooni Jiggron, Seena Fagaroun Sey Gila Hai..
Jaan Sey Bhi Gaye, Baat Bhi Jaanan Ki Na Samjhi..
Jaana Ko Bohot Ishq Kay Maaron Sey Gila Hai..
Ab Wasal Ho Ya Hijr, Na Ab Tak Basar Aya..
Ek Lamha, Jisay Lamha Shumaroun Sey Gila Hai..
Urti Hai Her Ek Shour Kay Seenay Sey Khaamshi..
Sehraoun Per Shaur, Dareyaon Sey Gila Hai..
Bekaar Ki Ek Kaar Guzari Kay Hisaaboun..
Bay-Kaar Hoon Aur Kaar Guzaari Sey Gila Hai..
Bey Fasal Ishaaroun Sey Huwa Khoon-E-Junoon Ka..
Un Shokh Nigaahon Key Ishaaron Sey Gila Hai..

Kaun Sood O Ziyaan Ki Dunia Mein

Kaun Sood O Ziyaan Ki Dunia Mein

Dard E Ghurbat Ka Saath Deita Hai
Jab Muqabil Hoon Ishq Aur Daulat
Husan Daulat Ka Saath Daita Hai
Hai Faslein Utha Raha Mujh Mein
Janay Yeh Kaun Aa Raha Hai Mujh Mein
Jaun Mujhko Jala Watan Kar Key
Woh Mere Bin Bhala Raha Mujh Mein
Mujh Sey Us Sey Rehi Talaash-E-Umeed
Sau Bohot Din Chupa Raha Mujh Mein
Tha Qeemat, Sakoot Ka Ashoub
Hasher Sa Ik Bapa Raha Mujh Mein
Pas Perdah Koi Na Tha Phir Bhi
Ek Pardah Khincha Raha Mujh Mein
Mujh Mein Aa K Gira Tha Ik Zakhmi
Janey Kab Tak Parra Raha Mujh Mein



Wednesday, December 4, 2013

Ajab Ek Shor Sa Barpa Hai Kahin

Ajab Ek Shor Sa Barpa Hai Kahin..
Koi Khamosh Ho Gaya Hai Kahin
Hai Kuch Aesa Kay Jaisay Yeh Sab Kuch
AB Sey Pehlay Bhi Ho Chuka Hai Kahin
Jo Yahan Sey Kahin Naa Jaata Tha
Woh Yahan Sey Chala Gaya Hai Kahin
Tujh Ko Kiya Ho Gaya Kay Cheezon Ko
Kahin Rakhta Hai Dhondhta Hai Kahin
Tu Mujhay Dhoondh, Main Tujhay Dhondhoon
Koi Hum Mein Sey Reh Gaya Hai Kahin
Is Kamray Sey Ho Kay Koi Wida
Is Kamray Mein Chup Gaya Hai Kahin

Meri Masoom Ferozi

Meri Masoom Ferozi, Meri Mabooda E Jaan...
Mil Gaya Hai Mujhe Maktoob E Muhabbat Ka Jawaab
Uss Kay Andaaz E Nigaarish Sey Pareshaan Hoon Main
Wehshat Afza Hai Meray Wastay Asloob E Khitaab
Dekhna They Mujhe Sharmaye Huwey Kuch Jumley
Yeh Ahadees O Riwayaat Nahin Sun'na Theen
Dekhna Tha Mujhe Ek Jazba E Kaamil Tum Mein
Mujhko Quraan Ki Ayaat Nahin Sun'na Theen
Tum Nay Likha Hai K Tum Bhai Samjhti Ho Mujhe
Aab E Zam Zam Sey Kero Pur Na Jawaani Ka Ayaagh
Tum Ney Likha Hai K Pakeeza Muhabbat Hai Mujhe
Shamma E Kaaba Se Jalao Na Meri Shab Ka Chiraagh
Tum Ager Bhai Samajhti Ho To Yeh Bhi Likhoo
Bhai Kay Khat Bhi Chup Chup Kay Parha Kartay Hain?
Tum Agar Bhai Samjhti Ho To Yeh Bhi Batlaao..
Bhai Ka Naam Bhi Sharmaa Kay Liya Kartay Hain?
Main Nay Samjha Tha MayNaab E Takhayyul Tum Ko
Ab Yeh Taqdees E Takhhayyul To Barri Mushkil Hai..
Aao Main Tumko Batlaaon Kay Muhabbat Kiya Hai..
Hasrat E Larzish E Bay Jaa Ka Mukammal Ehsaas
Mard O Aurat Mein Meri Hoor Teray Sir Ki Kasam
Rishta E Aadam O Hawwa Kay Siwa Kuch Bhi Nahin...




Monday, February 4, 2013

Chand Asha'ar (Hazrat Jaun Elia)


yun to apne qasidaan e dil k paas
janay kis kis k liye pegham hain
jo likhey jatay rahay auron k naam
meray woh khat bhi tumhare naam hain


yeh tere khat, teri khushbu, ye tere khawab o khayal
mata e jaan hain tere qaul aur qasam ki tarah
guzashta saal inhain maine gin k rakha tha
kisi gharib ki jori huwi raqam ki tarah


kitney zalim hain, jo ye kehtey hain
tour lo phool, koi choray matt
baaghbaan hum to is khayal k hain
dekh lo phool, phool touro matt


hai muhabbat hayat ki lazzat
warna kuch lazzat e hayat nahin
kya ijaazat hai, ik baat kahoon
woh, magar khair, koi baat nahin


kisi libas ki khushbu jab urr k aati hai
tere badan ki judai bohot satati hai
tere ghulab tarastey hain teri khushbu ko
teri safaid chambeli tujhe bulati hai
tere baghair mujhe chain kaisay parta hai
mere baghair tujhe neend kaisay aati hai